Sunday, February 21, 2010

KHAMOSHI...


Zindagi kabhi kabhhi aise mod par le aati hai… jahan hum ruk kar zindagi ko kareeb se aage badhte hue dekhna chahte hain… isliye nahi ki hum aage chalna nahin chahte… par isliye ki hum use samjhna chahte hain… aur zindagi ko samjhne ke liye tez raftaar nahin hoslaa chahiye..

Fir dekhiye kaise khamoshi mein panapti hai zindagi..

Kaise khamoshi se sulajhti hai zindagi..!



KHAMOSHI..!

Khamoshi se phoolon ko khilte hue dekha hai…

Chandni ko paani mein utarte hue dekha hai..

Dekha hai hawaaon ko sarsaraate hue…

Khamoshi se diye ki lau ko…

Zindagi bikherte hue dekha hai…

Khamoshi se apne sapno ko…

Aankhon ki nami bante dekha hai…

Apne ander ke sawaalon ko…

Zubaan taka aate aate khamosh hote dekha hai…

Jo shabd na keh paaye kabhi…

Na hi keh paayenge…

Khamoshi ko usi baat ka badi aasani se ehsaas karate dekha hai…

Zindagi ko har baar humne…

Khamoshi se joojhte hue dekha hai…

Insaan toh fir insane hai…

Humne uss khuda ko bhi…

Khamoshi ke aage sar jhukaate dekha hai!!



Tuesday, January 19, 2010





Zindagii mein kuch kisse aise hote hain... jo hamien majaboor karte hain ki hum khud ko pahchaane..... the eternal question of WHY ARE WE HERE... or to be precise... WHAT ARE WE HERE FOR!!
kisi
na kisi mod par hamaare zehan mein ye sawaal aate zaroor hain... aur hum sab iska jawaab ya denaa nahiin chaahte... yaa jaanane kii koshish nahin karte... aur isliye ye sawaal hamesha sawaal hii reh jaate hain...

par haan... ye sawaal hamaari mulaakaat hamaare andar hi kahin gum ek aawaaz se karaate hain... kabhii na tootane wali umeed de jaate hain... hamien hamari khaamiyon aur khoobiyon donon se vaakiph karaate hain... humaare khwaabon ko ek mukaam de jaate hain..!!



jaane kiski tasveer dhoondhti hoon mai !!


sardiyon ki dhund men
chalte huye akele
jab khud se hoti hai pehchaan meri
hazaaron sawaal hain zehan men...
un savaalon kaa aks doondati hoon mai,
jaane kiski tasveer dhoondhti hoon mai

baarish kii pehalii phuhaar..
bhigo deti hai mere saare sapano ko..
vo mitti ki khushboo mein basi yaaden..
un yaadon kaa arth dhoondti hoon mai..
jaane kisakii tasveer dhoondhti hoon mai..

khaamoshi mien simte huye..
anakahe anachhuye se kisse..
vakt ki kitaab mein gum kahiin..
khud ki pehchaan dhoondti hoon mai..
jaane kiskii tasveer dhoondhti hoon mai..